Ad Code

Parental love fee.والدین کے پیار کی فیس

 

Parental love fee.والدین کے پیار کی فیس


walidain ke pyar ki fees
zain das saal ka tha aur bohat shararti tha.
aik din is ke abbu bemaar ho gaye. . hospital le kar jana para. . jab woh theek ho kar jane lagey to dr ne aik bil diya. . zain ne ammi se bil pakar kar dekha is pay likha tha. . .

dwayyan 1700. 00 rupay
injection 300. 00 rupay
dr ki fees 1000 rupay
zain ko yeh tareeqa pasand aaya. . is ne ghar ja kar copy se waraq nikala aur likha. . .
do baar sabzi laane ki fees 40 rupay
abbu ki daant suneney ki fees 60 rupay
abbu ke jootay polish karne ki fees 30 rupay
abbu ke liye hasptl chaye day kar anay jane ki fees 100 rupay .
note : yeh bil shaam tak ada karen. aur kaghaz ko ammi ke kamray mein rakh kar shool chala gaya. . .


wapas aaya to usay –apne kamray mein paisay dekh kar bohat khushi hui. . lekin sath aik kaghaz bhi tha. .
is ne woh khoola to is pay likha tha. . .
das saal tak khula ne pilanay ki fees = ?
tumahray bemaar honay par Timar daari ki fees = ?
tumhe diye gaye ammi aur abbu ke pyar ki fees = ?
note : yeh bil jab mumkin ho ada kar dena. . .
woh jaldi se ammi ke paas gaya aur maffi mangi. .
yeh to mehez aik kahani thi lekin aaj kuch bad qismat aisay bhi hain jin ko maffi mangnay ka mauqa bhi nahi milta. . .
un ko ehsas hi nahi hota ke jis baap ko apni aulaad aur biwi ki wajah se daant rahay hain un ka ahsaan kabhi bhi nah chuka saken ge. .


allah pak hum sab ko maa baap ki nafarmani se bachaaye aur un ka saya hum par salamat rakhay. ameeen! !

Post a Comment

0 Comments

Rawalpindi Studio Youtbe Channel

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();